Tuesday, February 25, 2014

Kshobh

kabhi bachpan ke sunehre sapne sanjota hu
aaj bhi in ashko ki dhara tham si jaati hai

jo palkein hume dekh jhuka karti thi
aaj sirf khwabo me utha karti hai

swar sangeet ke kabhi lafz bana karte the
andhakaar ke gehre swar aj ujalo me bhi panpa karte hai

shwet savero me kabhi ghula karta tha
chhaya andhero ka aaj bankar firta hu mai...

-kaavya

No comments:

Post a Comment